Top 50 SEO Interview Questions In Hindi
Q1. SEO kya hai | What is SEO
SEO kya hai : SEO ka matlab hota hai Search Engine Optimization. Yeh ek tarah ka process hai jisme kisi bhi website ko optimize karke search engines jaise Google , Yahoo, Bing etc ke results mein upar laya jata hai ya ranak karaya jata hai.
Q2. SEO ke kitne types hote hain?
Mainly 3 types:
Sabse pehle hota hai “On-Page SEO”
Dusre number pe hota hai “Off-Page SEO”
Then Third number par aata hai Technical Search Engine Optimization
Q3. On-Page SEO kya hota hai?
On page SEO ka matlab hai website ke ander ki chezein jaise ki website ke content aur structure ko optimize karna (titles, meta tags, headings, content, url’s ,internal linking karna).
Q4. Off-Page SEO kya hota hai?
Off page SEO ka matlab hai link building ya aasan bhasha me kahu toh aapni website ka link kisi website pe chorna ya submit karna. Isme jitni bhi website ke bahar ki activities jo website ki visibility ko increase karti hain, jaise backlinks, social sharing, guest posting, brand mentions.
Q5. Technical SEO kya hota hai?
Website ki backend optimization jaise site speed, mobile-friendliness, crawlability, indexability.
Q6. SEO aur SEM dono kaise alag hain?
SEO = Organic ranking (free).
SEM (Search Engine Marketing Hota hai Paid ads yani ki Google Ads, PPC).
Q7. Keywords kya hote hain?
Keywords wo words/phrases hote hain jise users Google par search karte hain.
Q8. Keyword research kaise karte hain?
Keyword research ke kafi sare online tools hai jaise ki Uber suggest Google Keyword Planner, Ahrefs, SEMrush.
Q9. Short-tail aur Long-tail keywords mein kya fark hai?
Short-tail keywords 1-2 words se mil ke bante hain jinme high volume, tough competition).
Long-tail keywords 3+ words se mil ke bante hain jisme low volume, easy to rank hote hain.
Q10. LSI Keywords kya hote hain?
Latent Semantic Indexing keywords – related words jo Google ko context samajhne mein help karte hain.
Ranking Factors
Q11. Google ranking factors kitne hote hain?
200+ ranking factors hote hain (content, backlinks, UX, speed, etc.).
Q12. Backlinks kyun important hote hain?
Backlinks ek trust signal hai – jitni quality backlinks, utni website authority.
Q13. Do-Follow backlink aur No-Follow backlinks mein kya antar hota hai?
Vo backlinks Do-Follow backlink hote hain jinse link juice pass hota hai aur jiski madad se website ki domain authority badhai jati hai.
No-Follow: Sirf referral traffic deta hai, ranking mein zyada impact nahi.
Q14. DA aur PA kya hote hain?
DA (Domain Authority) = website ki overall authority.
PA (Page Authority) = ek page ki authority.
Q15. Bounce Rate kya hota hai?
Bounce Rate = % of visitors jo ek hi page dekhkar website chhod dete hain.
Q16. CTR : Click Through Rate kya hota hai?
CTR = Number Of Total Clicks ÷ Number of Total Impressions) × 100
Q17. Google RankBrain kya hai?
Google ka AI algorithm jo user behavior ke basis pe ranking decide karta hai.
Q18.SEO mein E-A-T ka kya matlab hota hai ?
SEO mein E-A-T ka matlab hai Expertise, Authoritativeness aur Trustworthiness inhi metrix se google website mein content ki quality aur credibility ko measure karta hai.
Q19. Core Web Vitals kya hote hain?
Google ke 3 metrics hoti hai jis ki madad se aapki website sahi se function karti hai: LCP (Loading), FID (Interactivity), CLS (Visual Stability).
Q20. Mobile-first indexing kya hai?
Google pehle mobile version ko crawl aur index karta hai.
Latest SEO Trends 2025
Q21. AI SEO ko kaise impact kar raha hai?
AI tools content creation, keyword research aur optimization fast aur smart bana rahe hain.
Q22. Voice Search SEO kya hota hai?
Voice queries ke liye conversational ya long-tail aur question-based keywords ko use karna.
Q23. Zero-Click Searches kya hoti hain?
Jab user answer directly Google ke featured snippet/knowledge panel se le leta hai bina website click kiye.
Q24. Featured Snippets kya hain?
Search results mein highlighted answer box (position zero).
Q25. Local SEO kya hai?
Local SEO se businesses apne nearby customers ke liye optimize karte hain (Google My Business, maps, reviews).
Technical SEO
Q26. Robots.txt file kya hai?
Robots.txt ek file hai jo search engine crawlers ko batata hai ki kaunse pages crawl karne hain aur kaunse crawl nahi karne ya block karne hai.
Q27. Sitemap kya hota hai?
Sitemap XML file hoti hai jisme website ke sabhi important URLs hote hain jisse search engines crawl karte hain.
Q28. Canonical tag ka use kya hai?
Canonical tag duplicate content avoid karne ke liye hota hai, jo search engines ko batata hai ki kaunsa original URL hai.
Q29. 301 aur 302 redirect mein kya fark hai?
301 = Permanent redirect (SEO juice pass hota hai).
302 = Temporary redirect (SEO juice pass nahi hota).
Q30. Schema Markup kya hai?
Schema markup ek structured data code hai jo search engines ko website content samajhne mein help karta hai (rich snippets ke liye).
Q31. Crawl budget kya hota hai?
Crawl budget = jitne pages Googlebot ek website par crawl karta hai ek specific time mein.
Q32. AMP kya hai?
AMP (Accelerated Mobile Pages) ek Google-backed project hai jo web pages ko fast load karne ke liye banaya gaya hai.
Q33. 404 error kya hota hai?
404 error ka matlab hai page nahi mila (Page Not Found).
Q34. 301 redirect SEO ke liye kyun important hai?
301 redirect se link juice preserve hota hai aur broken links ka issue solve hota hai.
Q35. HTTPS aur SSL SEO mein kya role play karte hain?seo kya hai
Google secure websites ko priority deta hai. SSL certificate website ko HTTPS banata hai jo trust aur ranking dono improve karta hai.
Content & SEO
Q36. SEO-friendly content kaise likhen?
Unique, keyword-optimized, user-focused content likho with headings, internal links aur readability.
Q37. Duplicate content SEO ke liye kyon problem hai?
Duplicate content confuse karta hai search engines ko aur ranking drop ho sakti hai.
Q38. Thin content kya hota hai?
Thin content = kam value wala content (low word count, copied, ya irrelevant).
Q39. Content freshness ranking mein help karta hai kya?
Haan, updated content Google ke liye ek positive signal hai.
Q40. Meta Title aur Meta Description ka SEO mein kya role hai?
Meta Title ranking factor hai aur Meta Description CTR improve karta hai.
Q41. Ideal Meta Title length kitni honi chahiye?
50–60 characters.
Q42. Ideal Meta Description length kitni honi chahiye?
150–160 characters.
Q43. Alt tags ka importance kya hai?
Alt tags images ke liye text description dete hain jisse Google images ko samajhta hai aur accessibility improve hoti hai.
Q44. Keyword stuffing kya hota hai?
Jab ek keyword ko unnaturally bar-bar content mein use kiya jaye → penalty mil sakti hai.
Q45. Content Cluster kya hota hai?
Ek main topic (pillar page) aur related sub-topics (cluster pages) ko internally link karna.
Analytics & Tools
Q46. Google Analytics ka use SEO mein kaise hota hai?
Traffic, bounce rate, conversions, aur user behavior track karne ke liye.
Q47. Google Search Console kya kaam karta hai?
Indexing status, impressions, clicks, keywords aur site errors monitor karne ke liye.
Q48. SEO audit kya hota hai aur yeh kyu zaruri hai?
Kisi bhi Website ki SEO health check karna manually ya diffrent tools like SEMrush, Ahref, Screamingfrog, Ubersuggest etc se, jis se ki website mein present technical, content, backlinks, UX ki error nikali ja sakte.
Q49. Best SEO tools kaunse hain?
Best SEO tools hain : SEMrush, Ahrefs, Moz, Ubersuggest, Screaming Frog, Google Search Console aur Google analytics
Q50. UTM parameters kya hote hain?
UTM parameters tracking tags hote hain jo campaigns ke performance measure karne mein help karte hain.